Haa jii Dosto Garib Bhi Ban Sakta Hai Actor;


 Manoj Bajpai Motivational Biography.actor banne ke liye kya kare in hindi
 Manoj Bajpai Motivational Biography


Manzil unhi ko milti hai jinke sapno me jaan hoti hai or dosto in line ko agar kisi ne sahi sabeet kiya hai to unka naam hai Manoj Bajpai jinhone apni mehnat or sangharsh ke dum par ye dikha diya ki is duniya main kuch bhi muskil nhi hai ek gaarib kisaan ke yaha peda hone ke baad pura bachpan or javaani dukho main gujaarne ke baad film jaagat me apni pehchan bnai to dosto chaliye suruaat krte hai ;

Manoj Bajpai Motivational Biography.actor banne ke liye kya kare in hindi
Manoj Bajpai Motivational Biography




To dosto is kaahani ki suruaat hoti hai 23 April 1969 jab BIHAR ke BELWA  gao me MANOJ BAJPAI ka janm hua unke father ka name RADHAKANT BAJPAI  hai joki aapni family ke liye kheti-baadi pr hee nirbhar the or dosto Manoj Bajpai ka name film jaagat ke superstar Manoj Kumar ke name pr rakha gya tha,joki unke father ko bahut pasand tha or jese Manoj Bajpai ka name tha usi tarha unhe filmo ka bhi shok bachpan se tha , haalaki Bajpai ka Bachpan bahut gaaribi me beeta , yaha tak ki unke pita ke pass unhe padhane ke liye paise bhi nhi the or isliye unhone aapni suruaati padai gao ke sarkari school se ki .

Manoj Bajpai Motivational Biography.actor banne ke liye kya kare in hindi
Manoj Bajpai Motivational Biography



Lekin Manoj Bajpai kr pitaa ye jaante the ki agar unke bete ko kheti-baadi se hat kr oi or kaam krna hai to uske liye padai bahut zaruri hai or isliye unhone aise karz lekr Manoj ki padai ko rukne nhi diya or fir Manoj Bajpai ne apni 12th ki padai MAHARANI JANKI COLLEGE se ki .

Haalaki dosto Manoj Bajpai ki age ab 17 ho chuki thi or tabhi unhone delhi jakar college ki padai puri krne ka fesla kiya . or fir unhone delhi ke RAMJAS COLLEGE me admission liya jaha unhone acting ki or logo ko aapne telent dikhaya . lekin dosto jese-jese unka experience bada unhe pta chal gya ki agar bharatiye  jaagat me agar kaam paana hai to uske liye unhe bahut mehnat krni hogi or fir apne aap ko film jagat ke layak banane ke liye unhone  NSD(national school of Drama) me admission ke liye apply kiya halaki 3 baar NSD main Apply ke baad bhi unhe NSD main admission nhi mila or dosto Manoj batate hai ki unki itni nakamyabi ki vajha se unke hosle tutne lage the or ek saame me to unhone suicide karne ka bhi soch liya tha .

Manoj Bajpai Motivational Biography.actor banne ke liye kya kare in hindi
Manoj Bajpai Motivational Biography


Lekin fir unke ek dost jinka name RAGHUVEER YADAV ne unhe salha di ki agar unhe NSD me admission nhi mil raha hai to BARRY JONES ACTING WORKSHOP ke liye unhe koshis krni chahiye or fir MANOJ ,BARRY JONES se mile to barry jones itne parbhavit hue ki u unhone manoj ko student nhi balki teacher ke rup me rakh liya gya .

Or kuch saame yaha kaam karne ke baad unhone ek baar fir NSD me APPLY kiya par is baar student post ke liye nhi balki teacher post ke liye apply kiya or abhi tak NSD unke telent ko pehchan gya tha or isliye unhone manoj ko rakhne me thodi bhi der nhi ki or fir bahut jald manoj delhi ke theatre circle ke ek jaane maane chehre ban chuke the or fir unke shandar telent o dekhte hue us saame ke ek casting directer ne unhe BANDIT QUEEN ke liye Manoj o recommended kiya or fir is film me kaam karne ke baad manoj 1994 me mumbai me hee shift ho gye or fir mumbai me shift hone ke baad unhone kaafi saare TV serial or movies me chote chote role me kaam kiya lekin vo ab bhi aapni safalta se dur the haalaki film industry me aane ke baad bhi unhone kaafi struggle kiya .

Manoj Bajpai Motivational Biography .actor banne ke liye kya kare in hindi
Manoj Bajpai Motivational Biography 


Lekin ab vo din aa chuke the ,jab unke din badalne vaale the kyuki RAM GOPAL VERMA ne 1998
ki film SATYA ke liye manoj ko sign kiya or fir film itni hit sabit hui ki manoj ab bade bade film mekar ki nazro me aa chuke the or fir is film me kiye gye shandaar abhine ke liye NATIONAL FILM AWARD FOR BEST SUPPORTING ACTING   or FILMFARE CRITICS AWARD FOR BEST ACTOR  ke liye unhe puruskarit kiya gya .or yahi film manoj ke jeevan me terning point banti dikhai padi kyuki iske baad se unhe AKS,PINJAR,RAAJNEETI,AARAKSHAN,GANGS OF WASSEYUR or bhi movie unhone ki or dekhte dekhte manoj film industry me chah gye .

To dosto kesi lagi humare ye post please comment karne bataye.